Saturday, May 30, 2009

Yaara Maula

Yaara Hoo Maula,Yaara Hoo Maula Haan Haan Yaadon Mein Hai Ab Bhi Kya Surila Wo Jahan Tha Hamare Haathon Mein Rangeen Gubaare The Aur Dil Mein Mehekta Sama Tha, Yaara Hoo Maula.. 

Wo To Khwabo Ki Thi Duniya, Wo Kitabo Ki Thi Duniya

Saas Mein The Machalte Hue Zaljale

Aankh Mein Wo Suhana Nasha Tha, Yaara Hoo Maula..

Wo Zameen Thi, Aasmaan Tha,Hum Ko Lekin Kya Pata Tha

Hum Khade The Jahan Par

Ussi Ke Kinaare Pe Gehra Sa Andha Kua Tha, Hooo Hoo 



Phir Wo Aaye Bheed Ban Kar, Haath Mein The Unke Khanjhar

Bole Phenko Yeh Kitaabe, Aur Sambhalo Yeh Salakhein

Jo Gehra Sa Kua Hai, Haan Haan Andha To Nahi Hai

Iss Kue Mein Hai Khazana, Kal Ki Duniya To Yahi Hai

Kud Jao Leke Khanjhar , Kaat Daalo Jo Ho Andar

Tum Hi Kal Ke Ho Shivaji, Tum Hi Kal Ke Ho Sikander

Humne Wo Hi Kiya Jo Uhone Kaha, Kyunki Unki To Khawahish Yahi Thi

Hum Nahi Jaante Yeh Bhi Kyu Yeh Kiya? Kyunki Unki Farmaaish Yahi Thi

Ab Hamare Laga Zaayka Khoon Ka,Ab Batao Kare To Kare Kya?

Nahi Hai Koi Jo Hume Kuch Bataye,Batao Kare To Kare Kya?


No comments:

Post a Comment