Saturday, May 30, 2009

Raat Ke Musafir

(Hoo Raat Ke Musafir Tu Bhaagna Sambhal Ke
 Potli Mein Teri Ho Aag Naa Sambhal Ke) - 2
 Raat Ke Musafir.. 
(Chal To Tu Pada Hai
, Faasla Bada Hai 
Jaan Le Andhere Ke Sar Pe Khoon Chadha Hai) - 2 
Mukaam Khoj Le Tu, 
Makaan Khoj Le Tu Insaan Ke Sheher Mein 
Insaan Khoj Le Tu
 Dekh Teri Thokar Se Raah Ka Wo Patthar

Maathe Pe Tere Kas Ke Lag Jaaye Naa Uchal Ke

Hoo Raat Ke Musafir Tu Bhaagna Sambhal Ke

Potli Mein Teri Ho Aag Naa Sambhal Ke

Hoo Raat Ke Musafir  Maana Ki Jo Hua Hai, Wo Tune Bhi Kiya Hai

Inho Ne Bhi Kiya Hai, Unhone Bhi Kiya Hai

Maana Ki Tune Haan Haan, Chaha Nahi Tha Lekin

Tu Jaanta Nahi Ki Yeh Kaise Ho Gaya Hai

Lekin Tu Phir Bhi Sunn Le, Nahi Sunega Koi

(Tujhe Yeh Saari Duniya Khaa Jaayegi Nigal Ke) - 2

(Hoo Raat Ke Musafir Tu Bhaagna Sambhal Ke

Potli Mein Teri Ho Aag Naa Sambhal Ke) - 2

Raat Ke Musafir.. Hmmm…Hmmm

Hoo Raat Ke Musafir Tu Bhaagna Sambhal Ke

Potli Mein Teri Ho Aag Naa Sambhal Ke, Raat Ke Musafir 



No comments:

Post a Comment