Saturday, May 30, 2009

Duniya Oh Duniya

Oh Ri Duniya, Oh Ri Duniya, Aye Duniya

Aye Surmayee Aankhein Ke Pyaalo Ki Duniya Oh Duniya

Surmayee Aankhein Ke Pyaalo Ki Duniya Oh Duniya

(Satrangi Rango Gulalo Ki Duniya Oh Duniya) - 2 



Alsaayi Sejo Ke Phoolon Ki Duniya Oh Duniya Re


Angdaayi Tode Kabootar Ki Duniya Oh Duniya Re

Aye Karwat Le Soyi Haqeeqat Ki Duniya Oh Duniya

Deewani Hoti Tabiyat Ki Duniya Oh Duniya

Khwahish Mein Lipti Zaroorat Ki Duniya Oh Duniya Re

Heyyy Insaan Ke Sapno Ki Niyat Ki Duniya Oh Duniya

Oh Ri Duniya, Oh Ri Duniya, Oh Ro Duniya, Oh Ri Duniya

(Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kya Hai?) - 3 




Mamta Ki Bikhri Kahani Ki Duniya Oh Duniya

Behno Ki Siski Jawani Ki Duniya Oh Duniya

Aadam Ke Hawaas Rishte Ki Duniya Oh Duniya Re

Heyyy Shayar Ke Pheenke Labzo Ki Duniya Oh Duniya

Ooooo…Oooo…Hoooo….Hooo…Ooooooooo…

(Gaalib Ke Maumin Ke Khawabo Ki Duniya

Majazo Ke Un Inqalabo Ki Duniya) - 2

Faize Firako Sahir Umakhdum Meel Ki Zoku Kitabo Ki Duniya

(Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kya Hai?) - 3

(Palchin Mein Baaten Chali Jaati Hai Hai) - 2 


Reh Jaata Hai Jo Sawera Wo Dhoondhe

Jalta Makaan Mein Basera Wo Dhoondhe

Jaisi Bachi Hai Waisi Ki Waisi, Bacha Lo Yeh Duniya

Apna Samajh Ke Apno Ki Jaisi Utha Lo Yeh Duniya

Chitput Si Baaton Mein Jalne Lagegi, Sambhalo Yeh Duniya

Katpit Ke Raaton Mein Palne Lagegi, Sambhalo Yeh Duniya

Oh Ri Duniya, Oh Ri Duniya, Wo Kahen Hai Ki Duniya

Yeh Itni Nahi Hai Sitaaro Se Aage Jahan Aur Bhi Hai

Yeh Hum Hi Nahi Hai, Wahan Aur Bhi Hai

Hamari Hare K Baat Hoti Wahin Hai

Hume Aitraaz Nahi Hai Kahin Bhi

Wo Aayi Zamil Pe Sahi Hai

Magar Falsafa Yeh Bigad Jaata Hai Jo

Wo Kehte Hai Aalim Yeh Kehta Wahan Ishwar Hai

Faazil Yeh Kehta Wahan Allah Hai

Kabur Yeh Kehta Wahan Issa Hai

Manzil Yeh Kehti Tab Insaan Se Ki

Tumhari Hai Tum Hi Sambhalo Yeh Duniya

Yeh Ujde Hue Chand Baasi Charago

Tumhare Yeh Kale Iraado Ki Duniya

Ohh Ri Duniya, Oh Ri Duniya Hoo Ri Duniya 


No comments:

Post a Comment