dekhnaa hai zor kitnaa baazuve kaatil mein hai.
o re bismil kaash aate aaj tum hindustaan ...
waqt aane pe bataadenge tujhe ae aasmaan ......
hum abhi se kyaa bataaye kyaa hamaare dil mein hai
o re bismil kaash aate aaj tum hindustaan ...
dekhte ki mulk saara kyaa tashan kyaa chill mein hai
aaj kaa laundaa yeh kehtaa hum to bismil thak gaye
apni aazaadi to bhaiyaa laundiyaa ke til mein hai.
aaj ke jalson mein bismil ek gungaa gaa raha.
aur behron kaa wo relaa naachtaa mehfil mein hai
haath ki khaadi banaane kaa zamaana lag gayaa
aaj to chaddi bhi silti englison ki mill mein hai
dekhna hai zor kitnaa baazuve kaatil mein hai
waqt aane pe bataadenge tujhe ae aasmaan
hum abhi se kyaa bataaye kyaa hamaare dil mein hai
sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai.
No comments:
Post a Comment